Friday, October 06, 2006

I want you to read this one twice, atleast.....

Mila wo bhi nahi karte, mila hum bhi nahi karte
Bewafai wo bhi nahi karte, bewafai hum bhi nahi karte

Unhein ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh hai
gila wo bhi nahi karte, gila hum bhi nahi karte

Gali ke kisi mod pe aksar takrav ho hi jata hai
ruka wo bhi nahi karte, ruka hum bhi nahi karte

Humein wo dekhte hain, unhain hum dekhte hain
chhupa wo bhi nahi kerte, chhupa hum bhi nahi kerte.

Unhein jab dekhte hain sochte hain kuch kahein un se
suna wo bhi nahi karte, kaha hum bhi nahi karte....

PS - yes, I have taste for these too.... you would soon see Mirza Ghaalib, once I buy his "great work" book

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home